Friday, October 21, 2005

Dard

Seems like the situation described by the popular Urdu couplet:

Hamein to apnon ne loota, Gairon me kahan dam tha,
Meri kashti wahan doobi paani jahan kam tha
We were looted by our own; strangers did not have the power,
My boat capsized where it was shallow
.

Now let me tell you something:
Laakhoon hai har sahar mein, tu ek hi nahin
Aakhir kaun bacha hai, insaan ki iss fitaraat se...

Mana qatil ke vaar, jaise jhonke hawaa ke hai
Darya-e-dil main tumare toofaan kiye hue,
Dard iss duniya main sirf aapko nahi hai...
Aur bhi hai jo dard ko roz jeete hai, aur marte hai...

Par umeed ka daman yoon chootne na de,
kaayam umeed hi se hai, duniya hai jis ka naam.

I wrote the one below, when I was feeling low
(inspired by a ghazal by Sahir Ludhianwi - "Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai"):
Tum mujhe na samajh sake, to ye haq hai tumko,
Meri baat aur hai, maine to aapna maana hai tumhe.

Mere jazabat ki keemat kya hai
Inn ulajhe se khyalat ki keemat kya hai
In pareshan savalat ki keemat Kya hai
Tum jo yeh bhi na batao to yeh haq hai tumko

Meri baat aur hai, maine to aapna maana hai tumhe.
Tum mujhe na samajh sake, to ye haq hai tumko.