Friday, October 21, 2005

Dard

Seems like the situation described by the popular Urdu couplet:

Hamein to apnon ne loota, Gairon me kahan dam tha,
Meri kashti wahan doobi paani jahan kam tha
We were looted by our own; strangers did not have the power,
My boat capsized where it was shallow
.

Now let me tell you something:
Laakhoon hai har sahar mein, tu ek hi nahin
Aakhir kaun bacha hai, insaan ki iss fitaraat se...

Mana qatil ke vaar, jaise jhonke hawaa ke hai
Darya-e-dil main tumare toofaan kiye hue,
Dard iss duniya main sirf aapko nahi hai...
Aur bhi hai jo dard ko roz jeete hai, aur marte hai...

Par umeed ka daman yoon chootne na de,
kaayam umeed hi se hai, duniya hai jis ka naam.

I wrote the one below, when I was feeling low
(inspired by a ghazal by Sahir Ludhianwi - "Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai"):
Tum mujhe na samajh sake, to ye haq hai tumko,
Meri baat aur hai, maine to aapna maana hai tumhe.

Mere jazabat ki keemat kya hai
Inn ulajhe se khyalat ki keemat kya hai
In pareshan savalat ki keemat Kya hai
Tum jo yeh bhi na batao to yeh haq hai tumko

Meri baat aur hai, maine to aapna maana hai tumhe.
Tum mujhe na samajh sake, to ye haq hai tumko.

Saturday, July 23, 2005

Remix

I haven’t seen any of those so-called remix versions of the old melodious songs after I saw the much publicized remix of KAANTA LAGA and found it pathetic... So I just sometimes switch and may listen to such crap for a change, but prefer to listen to some real good music. I am a fan of the Indian ocean band and am amazed how they totally did away with the media for publicity – just to emphasize the fact that they were confident of their own compositions (I guess) and didn’t have to rely on such cheap tricks. If you enjoy rock, you may also listen to the Parikrama band. But my all time favorite has always been the golden oldies – remember singers like Shamshad Begum, Noorjehan, Asha, Lata, Saigal, Manna Dey, Talat Mehmood, Mohd. Rafi, Mukesh, Kishore Kumar or the veteran composers like Burman, Naushad, Laxmikant-Pyarelal and Kalyanji-Anandji among the others that Psychohistorian mentioned at the end of his post. I guess another reason for these songs to be so enjoyable could be fact that the lyrics had some meaning attached thanks to the great lyricists like Anand Bakshi, Gulshan Bawra, Gulzaar, Javed Akhtar and Majrooh Sultanpuri. (just to name a few [:P])

Also remember that Musicians do Versions of songs... and Remixes are something that DJs do (And everyone here will agree that DJs are not Musicians !!!!!)... and so I shall accept that what they did was right in their own senses and if you expected them to give you anything more than that, then I must say it was your fault [:P].
(BTW for all the partying ppl back in India what choice do they have other then listening to remix pops in discos and pubs ?!). Though I must mention that I did enjoy Bally Sagoo (prolly the pioneer of remixes) works like the remix of 'Chura liya...'

I am also amazed that all these remix guys do, is take some popular songs, put in some semi-nude models, just put in some beats and lo-behold... we have a remixed song which everybody likes. They question the people must ask is 'Man, don't these guys have any respect for the original artists who have performed the song?' – but I guess the termed confused desi is not restricted to the American born desis anymore [:)]

On the legal side we need new laws to be passed that order record companies to obtain prior permission before releasing a remix album and to pay royalties due to the original composer and copyright holder.

Friday, July 22, 2005

Hum hain is pal yahaan

Kabhi kabhi hum ek doosre ko khokar bhi toh pyar ko ooncha darja dete hain. Judaa rehkar pyar ki oonchaaiyon ko praapt karte hain. Har pyar milan to nahin. Judaai bhi toh ek pyar hai.

Hum hain is pal yahaan, jaane hon kal kahaan
Hum milein na milein, hum rahein na rahein
Rahegi sada yahaan, pyar ki yeh dastaan
Sunenge sada jise, yeh zameen aasmaan

Rang dhal jaate hain, din badal jaate hain
Raatein so jaateen hain, raahein kho jaateen hain
Pyar khotaa nahin, pyar sotaa nahin
Pyar dhalta nahin, haan badalta nahin

Hum jahaan aaye hain, meherbaan saaye hain
Hum yahaan khwaabon ke kaaravaan laaye hain
Dhadkanein hain jawaan, gaa raha hai samaa
Pighli pighli si hain, mehki tanhaaiyaan

Hum hain is pal yahaan, jaane hon kal kahaan

Sometimes even by losing each other we elevate the status of love. In separation we reach new heights of love. Every love doesn't end in being united. Separation is also a form of love.

We are here at this moment, who knows what will happen tomorrow
Whether we meet or not, whether we live or not
This love story will live on forever
and be heard forever on earth and in heaven

Colors fade, days change
Nights end, paths get lost
Love is never lost, love never sleeps
Love never ebbs, and never changes

where we have landed, the shadows are kind
Here we have brought the caravan of dreams
Heartbeats are vibrant, the whole atmosphere is singing
the very air melts with the fragrance of solitude

We are here at this moment, who knows what will happen tomorrow


- Kisna

Translations

Nirbal se ladaai balwaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Ik raat andhiyaari, thi dishaaye kaari-kaari
Mand-mand pawan tha chal raha
Andhiyaare ko mitaane, jag mein jyot jagaane
Ek chhota sa diya tha kahi jal raha.....
Kahi door tha toofaan, diye se tha balwaan
Saare jag ko masalne machal raha
Ek nanha sa diya, usne hamla kiya
Ab dekho lila vidhi ke vidhaan ki...
Duniya ne saath chhoda, mamta ne mukh moda
Ab diye pe ye dukh padne laga
Par himmat na haar, man mein marna vichaar
Atyaachaar ki hawa se ladne laga...
Ladte-ladte woh thaka, phir bhi bujh na saka
Uski jyot mein tha bal re sachchaai ka....
Sar patak-patak, pag jhatak-jhatak
Na hata paaya diye ko apni aan se
Baar-baar waar kar, ant mein haar kar
Toofaan bhaaga re maidaan se

Fight of the weak and poor,
this story is of an oil lamp and a storm.
On a dark night, when all paths were black,
air was flowing slowly.
To eliminate the darkness and to lighten the world,
a small lamp was flashing somewhere.
Somewhere away was a storm, much stronger than lamp,
who was desperate to destroy whole world.
But the small lamp attacked the storm,
now see what destiny had in store.
Whole world and nears and dears left the lamp,
and he was in deep sadness.
But lamp never gave up, had do or die spirit,
started fighting with storm of cruelity.
While fighting he got tired, but never stopped flashing,
as his light has power of truth.
Storm tried his best
but couldn’t make the lamp submit.
He attacked many times,
but in the end lost and ran away from the battle ground.


It was the time when I saw a few of my friends fall in love and even lose their love to someone and a few confessed that they felt that life sucks and without love there is no life. Then I heard this gem of Kishore Da, and listened to it again and again, to realize that love is not life, it is just a part of life.

Jeevan mitaana hai deewaapan,
koi pyaar jeewan se pyaara nahin
saare jahaan ki amaanat hai ye,
ye jeewan tumhara tumhara nahin
jeene ke laakhon sahaare yahaan,
bas ek hi to sahaara nahin ...
...kisi ke iraadon ki khaatir jiyo,
kisi ke waadon ki khaatir jiyo
hai yaadoon main jeena bhi to jindagi,
jeena tumhe kyon gwaara nahin
kaisi udaasi ye kaisa hai sog,
jeewan main aate hain jaate hain log
naya koi saathi mila rah main,
use pyaar se kyon pukaara nahin

To waste life is madness,
no love is more important than life.
Your life belongs to the whole world,
it is not just yours.
There are lakhs of supports to live, not just love...
... live for someone’s dreams,
live for promises made to someone,
even to live in memories is also living,
then why don’t you want to live?
For what is this sadness and tears,
many people come and go in life,
when you found a new companion in the journey of life,
why didn’t you called her with love?


This song inspired me that if one is sad, one should make others happy and their happiness will in turn make you happy.

Tum beshahaara ho to
kisi ka sahaara bano
tumko apne aap hi sahaara mil jaayega
kashti koi doobti pahuncha do kinaare pe
tumko apne aap hi kinaara mil jayega...

...na basti main na veeraanon main
na kheton main na khalihanon main
na milta hai pyaar bazaaron main
na bikta hai chain dukaanon main
dhoondh rahe ho tum jisko,
usko bahar mat dhoondho
man ke andar dhoondho,
preetam pyaara mil jaayega

If you are without support,
become support of someone else.
you will automatically get the support.
Take a drowning boat to shore,
you will automatically get the shore.

...neither in crowds, nor in isolation,
neither in fields, nor in farms,
neither love is found in markets,
nor satisfaction is found in markets.
One that you are looking for,
don’t search for it outside,
find it in your soul
and you will find your love

Sunday, July 17, 2005

chal akela

Movie: Sambandh
Singer: Mukesh [Full name: Mukesh Chandra Mathur]
chal akelaa, chal akelaa, chal akelaa
teraa melaa peechhe chhootaa raahee chal akelaa

hajaaro meel lanbe raasate, tuz ko bulaate
yahaa dukhade sahane ke waasate tuz ko bulaate
hai kaun saa wo insaan yahaa par jisane dukh naa zelaa

teraa koee saath naa de to, too khud se pareet jod le
bichhaunaa dharatee ko kar ke, are aakaash odh le
yahaa pooraa khel abhee jeewan kaa toone kahaa hain khelaa

Translation:
Walk alone, walk alone, walk alone,
all your nears and dears are left behind, passenger walk alone.

Thousand miles long paths are calling you,
to go there and suffer from all sadness .
Who is the one who hasn’t suffered from pain and sadness in this world?

If nobody supports you, become support of yourself.
Make earth your bed and sky and your blanket.
You still haven’t yet played the whole game of life...

I found this poem, while looking for the original lyrics, by someone who might have been probably inspired by this song.

Chal Akela Chal Akela
Raah Tu Dekhta Hai Kiska
Saath Tu Chahta Hai Kiska
Apna Apna Sabka Rela
Chal Akela Chal Akela

Jab Tu Hansein
Jag Hansein Tere Saath
Jab Tu Roye
Roye Tu Akela
Har Dukh Jab Sehna Hai Akela
Chal Akela Chal Akela

Is Jag Mein Aaya Tu Akela
Is Jag Se Jaana Hai Akela
Jab Aana Jaana Hai Akela
Chal Akela Chal Akela

Is Mod Mile Koi Jo Apna
Us Mod Tak Use Apnata Chal
Nibhate Mod Se Mod Ka Har Rishta
Chal Akela Chal Akela


Another composition that I came across was

When you walk through the storm
Hold your head up high
And don't be afraid for the dark
At the end of the storm
is a golden sky
And the sweet silver sound of the lark

Walk on through the wind
Walk on through the rain
Though your dreams be tossed and blown

Walk on, walk on
With hope in your heart
And you'll never walk alone
You'll never walk alone!

And this reminds me of the Boulevard Of Broken Dreams

Friday, February 25, 2005

Jugalbandi on Orkut

Shine: When do you plan to come to Texas –
Me: Nahin Nahin, Abhi Nahin, Abhi Karo Intezaar
Shine: I still think of u somewhere in college station
Me: Kitne door, kitne paas :P
Shine: Dur ke dhol suhavne...
Me: aaila...
thik hain... door hi sahin... jaisi aap ki maarzi !!

KEH DE AYE SCRAP,
DOST SE - BEWAFA NA SAMJHE,
NAZARO SE DOOR HAI
PAR APNE YAARON SE JUDA NA SAMJHE

Shine: Wah huzoor

Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Ghanti bajainge aur bhaag jayenge!
Itne darpok hain to kyon aayeinge,
Hai himmat to saamne aap aayeinge,
Dar par mard hai ya namard dekhna hum chaheinge....

Aaji humse na takariye ga
arre aayenge hum agar to din-dahaade aayenge;
bajaa ke ghanti hum bhaagnewalon me se nahi;
hum to badaa ghant hee lekar aayenge hey sanam!
bajaayenge josh se poore jub talak jaroorat hogi;
baandh denge dar par tere usse o sanam aur bhaag jaayenge !!!

akele nahi! Lekar saath tumhe

Mard hum nahi yeh to saaf hai,
Galti hue jo aap se maaf hai,
Dosti ki khatir hi sab qabool,
Lagta hai shayari mein dono hai mashgool !!!
Galti to kisi ki bhi nahi,
Dil ko kyun gunah-gar maanein
chaha to humne bhi tha woh kehna,
jo baat aap ka dil bhi jaanein,
kahte to hain "Galti hue jo aap se maaf hai",
par kya ye sahin hai?!

Intezaar ke lamhe hoten hai muskil..
Katein kaise din, yeh soch raha hai yeh dil
Kaate nahi kat te yeh jalwe intzaar ke
Nazare jamaye bethe hain, scrapbook pe aap ke,
Dil ne kaha dekhe jo jalwe "sunshine" ke
Laya hain kaun inhe palko se utaarke

Aap ke jalwe subhanallah,
Adaayein aapki wallah re wallah,
Ho sari duaen aapki manzoor,
Inshallah..kehta hoon huzoor !!


Hmmm.... Controversial topic...
NO CONTROVERSIES... Just a flow of pure heart :P

Pehla to tamari aankho kaink THEEK laagi;
Pachi saachu kahoon, Bahu BEEK laagi!
(Gujarati)

*blushes...
Rafta Rafta dekho aankh meri ladi hai
Aaankh jis se lari hai woh meri maa se bhi badi hai
Umar ki baat karte hoon...

Phulon se khoobsurat koi nahi.
Sagar se gahara koi nahi.
Aab aapki kya tarif karu...
Dost me aap jaisa...
Nalayak koi nahi! :P

Gulab no goto
Janzari no zoto
Jo tu mane pyaar karto hoy to mokal taro photo
(Gujarati)

Tamaari aa laheraati Julfo ne Kabu ma Rakho
Lakho na Dil Ghayal Karya
Tema Jaraa Tel To Naakho
(Gujarati)
Don't post off the topic miss... I won't reply to the post on "Gulab no goto" as you have my photo :P

Julfo se yaad aaya -

tuti hui kabar par khuli hui julfo se jab ek mehjabin roti hai,
tab aksar ye khayal aata hai ki maut bhi kitni haseen hoti hai.

Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
toh hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki unki nazare hi tirchhi hai,
toh hum behosh ho gaye...
Teer-e-nazar:

Tere photo ki roshni aisi hai ki
har taraf "ujaala" nazar aata hai
sochta hu ki ghar ki bijli katwa du
kambaqt bill bohat aata hai

Julfo ne phir se mujhe ghera -
Yeh jo haseeno ke baal hote hai,
ladkon ko fassane ke jaal hote hai,
na jaane kitno ke khoon piye honge inhone,
tabhi to inke honth laal hote hai

*The boss paged me and asked me to come and see him in the conference room and I was like - gai bhens pani mein - almost sure he was gonna fire me for being on the net the whole day and each day I was using more bandwidth than all other employees put together (as detected by the program that I just installed few days back to keep a check on my activity)...
Thank god he just offered me a new project to work on.


ladki kyon, na jane kyon, ladko si nahi hoti...

Haseeno ne haseen banke gunaaah kiya,
auro ko to theek humko bhi tabaah kiya,
pesh kiya jab ghazaloN mein unki bewafaii ko,
auro ne to theek unhone bhi waah waah kiya


From Kuldip in Gujarati:

Doobta jeevan na tame swaas chho, kahu kem ke tame kaik 'khaas' chho.
Tame phool nahi pan jamin par ugta ghaas chho, sachu kahu, tame ek moto Traas chho.

Tu hase chhe jyare jyare, tyare tyare tara gaal ma khada padechhe.
Hu vicharu chhu betho betho ke mara shivay aa khada ma ketla pade chhe!


I totally agree with Kuldip

Still pondering over the fact: yeh ladki kyon, na jane kyon, ladko si nahi hoti

networking

Managed to get back in touch with old mates and that reminds me of those good old days.

Isi khushi mein ek sher aarz kiya hain:

kabhi kisi ko muquamal jahan nahi milta.....
kahin zameenn to kahin aasamaan nahi milta
tere jahaan mein aisa nahi ki pyaar na ho ....
jahan umeed ho iski wahan nahi milta...

Wednesday, December 29, 2004

Mom

Just saw Kuch Kuch Hota Hain, and felt like writing this down:

Maa! [pause]
Maa! [pause]
Maa! [pause]
I’m sorry...


Maa!
Maa woh hain jo humko itna pyaar karti hain ki,
kabhi kabhi hum khud uss pyaar ko samajh nahin pate.
Maa woh hain jo humko ehasaas dilate hain ki hum kitne aache hian,
humse accha aur koi hain hi nahin.
Maa woh hain jiski khushi hamari hasi se hian,
jiska dukh hamare dukh se hain.
Maa woh hain jiske bina hum jee nahin sakte.
Maa...
Maa sab kuch hain
Bas hamare paas hi nahin.
Lekin hamare paas papa hain,
aur woh bhi kafi acche hian.

Mother! [pause]
Mother! [pause]
Mother! [pause]
I’m sorry...


Mother!
Mother is the one who loves us so much that,
Sometimes we don’t understand her love.
Mother is the one who makes us feel that we are very good,
And there’s no one better than us.
Mother is the one whose happiness lies in our smile,
and is sorrowful when we’re sad.
Mother is the one, without whom we can’t survive.
Mother...
Mother is everything.
But, she is not with us.
But, you’ve a papa,
And he is very good.

Maa ki mamta ke bhi kuch andaz hote hai
jagti ankhon mein bhi kuch khawab hote hai
zaruri nahi ki gum mein hi aansu nikle,
muskurahte aakhon mein bhi sailaab hote hai.

Wednesday, December 22, 2004

Veer Zara

Main Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Din, Mahiney, Saalon Ko Zat Main Badalte Dekhta Hoon

Is Mitti Se Mere Baboji K Khaito Ki Khusbu Ati Hai
Yeh Dhoop Mere Mathay Ki Thandi Chhaa Yaad DilaTi Hai

Yeh Baarish Mere Saavan Ki Jholoon K Sang Laati Hai
Yeh Sardi Mere Lodi Ki Dil Ki Aag Sulagti Jaati Hai

Woh Kehtay Hain Yeh Tera Des Nahi
Phir Kyo Mere Des Jaisa Lagta Hai

Woh Kehta Hai Mai Us Jaisa Nahi
Phir Kyo Mujh Jaisa Woh Lagta Hai

Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Sapno Ke Gaaon Se Utri Ek Nanni Pari Ko Dekhta Hoon

Kehti Hai Khud Ko Saamiya Aur Mujhko ~Navi~ Bulaati Hai
Hai Bilkul Begani Par Apno Si Woh Lagti Hai

Uski Sachi Baaton Se Phir Jeenay Ko Mann Karta Hai
Uski Kasmo Waadon Se Kuch Karne Ka Mann Karta Hai

Woh Kehtay Hain Ke Woh Koi Nahi Hai
Phir Kyo Woh Mere Liye Dunaya Se Larti Hai

Woh Kehtey Hain Main Us Jaisa Nahi
Par Kyo Mujh Jaisa Woh Lagta Hai

Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Apne Gaoon K Rangon Main Lipti Ek Nayi Zaara Ko Dekhta Hoon

Mere Khwabon Ko Poora Karti Khud K Khwaab Bhool Chuki Hai Woh
Mere Logon Ki Saiwa Karte karte Apne Logo Ko Chor Chuki Hai Woh

Uska Daaman Ab Khushiyon Se Bharne Ko Dil Karta Hai
Uske Liye Ek Aur Zindagi Jeenay Ko Jee Karta Hai

Woh Kehtay Hain Mera Des Uska Nahi
Phir Kyo Mere Ghar Woh Rehti Hai

Woh Kehtay Hain Main Us Jaisa Nahi
Phir Kyo Mujh Jaisi Woh Lagti Hai

Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon


Parody for S/w engineers:
Main ID number 786 cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon
apni hi tarah khaali baithe ek colleague ko dekhta hoon

kabhi mail karta
kabhi coffee peeta
kabhi IM pe baat karta
khidki se ladkiyan dekhta rehta

woh kehte hain woh PL hai
woh kehte hain woh senior hai
fir kyon mere jaisa lagta hai
kyon din bhar Fw: padhta hai

Main ID number 786 cubicle ki dewaron ke us paar dekhta hoon
cabin me baithe apne PM ko dekhta hoon

kabhi phone pe
kabhi con-call pe
gussa utarta jaane kis pe

who kehte hain project aane wala hai
training complete karo , kaam aane wala hai
fir kyon mujhe yeh jhootha sa lagta hai
fir kyon yeh sapna sa lagta hai

Main ID number 786 cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon
Doosri companiyon ko join kar chuke purane doston ko dekhta hoon

woh kehte hain bond ka kya hai, chale jao
woh kehte hain kahin aur kismat aazmao
fir kyon bond todne se dil darta hai
abhi ek saal aur intezaar
karne ko jee karta hai

Main ID number 786 cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon