Friday, February 25, 2005

Jugalbandi on Orkut

Shine: When do you plan to come to Texas –
Me: Nahin Nahin, Abhi Nahin, Abhi Karo Intezaar
Shine: I still think of u somewhere in college station
Me: Kitne door, kitne paas :P
Shine: Dur ke dhol suhavne...
Me: aaila...
thik hain... door hi sahin... jaisi aap ki maarzi !!

KEH DE AYE SCRAP,
DOST SE - BEWAFA NA SAMJHE,
NAZARO SE DOOR HAI
PAR APNE YAARON SE JUDA NA SAMJHE

Shine: Wah huzoor

Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Ghanti bajainge aur bhaag jayenge!
Itne darpok hain to kyon aayeinge,
Hai himmat to saamne aap aayeinge,
Dar par mard hai ya namard dekhna hum chaheinge....

Aaji humse na takariye ga
arre aayenge hum agar to din-dahaade aayenge;
bajaa ke ghanti hum bhaagnewalon me se nahi;
hum to badaa ghant hee lekar aayenge hey sanam!
bajaayenge josh se poore jub talak jaroorat hogi;
baandh denge dar par tere usse o sanam aur bhaag jaayenge !!!

akele nahi! Lekar saath tumhe

Mard hum nahi yeh to saaf hai,
Galti hue jo aap se maaf hai,
Dosti ki khatir hi sab qabool,
Lagta hai shayari mein dono hai mashgool !!!
Galti to kisi ki bhi nahi,
Dil ko kyun gunah-gar maanein
chaha to humne bhi tha woh kehna,
jo baat aap ka dil bhi jaanein,
kahte to hain "Galti hue jo aap se maaf hai",
par kya ye sahin hai?!

Intezaar ke lamhe hoten hai muskil..
Katein kaise din, yeh soch raha hai yeh dil
Kaate nahi kat te yeh jalwe intzaar ke
Nazare jamaye bethe hain, scrapbook pe aap ke,
Dil ne kaha dekhe jo jalwe "sunshine" ke
Laya hain kaun inhe palko se utaarke

Aap ke jalwe subhanallah,
Adaayein aapki wallah re wallah,
Ho sari duaen aapki manzoor,
Inshallah..kehta hoon huzoor !!


Hmmm.... Controversial topic...
NO CONTROVERSIES... Just a flow of pure heart :P

Pehla to tamari aankho kaink THEEK laagi;
Pachi saachu kahoon, Bahu BEEK laagi!
(Gujarati)

*blushes...
Rafta Rafta dekho aankh meri ladi hai
Aaankh jis se lari hai woh meri maa se bhi badi hai
Umar ki baat karte hoon...

Phulon se khoobsurat koi nahi.
Sagar se gahara koi nahi.
Aab aapki kya tarif karu...
Dost me aap jaisa...
Nalayak koi nahi! :P

Gulab no goto
Janzari no zoto
Jo tu mane pyaar karto hoy to mokal taro photo
(Gujarati)

Tamaari aa laheraati Julfo ne Kabu ma Rakho
Lakho na Dil Ghayal Karya
Tema Jaraa Tel To Naakho
(Gujarati)
Don't post off the topic miss... I won't reply to the post on "Gulab no goto" as you have my photo :P

Julfo se yaad aaya -

tuti hui kabar par khuli hui julfo se jab ek mehjabin roti hai,
tab aksar ye khayal aata hai ki maut bhi kitni haseen hoti hai.

Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
toh hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki unki nazare hi tirchhi hai,
toh hum behosh ho gaye...
Teer-e-nazar:

Tere photo ki roshni aisi hai ki
har taraf "ujaala" nazar aata hai
sochta hu ki ghar ki bijli katwa du
kambaqt bill bohat aata hai

Julfo ne phir se mujhe ghera -
Yeh jo haseeno ke baal hote hai,
ladkon ko fassane ke jaal hote hai,
na jaane kitno ke khoon piye honge inhone,
tabhi to inke honth laal hote hai

*The boss paged me and asked me to come and see him in the conference room and I was like - gai bhens pani mein - almost sure he was gonna fire me for being on the net the whole day and each day I was using more bandwidth than all other employees put together (as detected by the program that I just installed few days back to keep a check on my activity)...
Thank god he just offered me a new project to work on.


ladki kyon, na jane kyon, ladko si nahi hoti...

Haseeno ne haseen banke gunaaah kiya,
auro ko to theek humko bhi tabaah kiya,
pesh kiya jab ghazaloN mein unki bewafaii ko,
auro ne to theek unhone bhi waah waah kiya


From Kuldip in Gujarati:

Doobta jeevan na tame swaas chho, kahu kem ke tame kaik 'khaas' chho.
Tame phool nahi pan jamin par ugta ghaas chho, sachu kahu, tame ek moto Traas chho.

Tu hase chhe jyare jyare, tyare tyare tara gaal ma khada padechhe.
Hu vicharu chhu betho betho ke mara shivay aa khada ma ketla pade chhe!


I totally agree with Kuldip

Still pondering over the fact: yeh ladki kyon, na jane kyon, ladko si nahi hoti

5 Comments:

At 9:08 PM, Blogger Jeet said...

too much :)

 
At 7:51 AM, Blogger Shurbhi.in said...

good!

 
At 9:35 PM, Anonymous Anonymous said...

Kitna bhi chaho na bhol paoge
Kitna bhi chaho na bhol paoge
Hum se jitna dur jao nazdik pao ge
Humein mita sakte ho to mita do
yaadein meri, magar..
kya sapno se juda kar pao ge humein.

Punjabi Shayari
Urdu Shayari
Hindi Shayari
Funny Shayari

 
At 5:44 AM, Blogger hyderabadpk said...

Agr Qismat Mein Sub Kuch Likh Diya Jata...

To
ALLAH
Dua Mangna Na Sikhata..

SMS
SMS

 
At 1:58 PM, Blogger Unknown said...

Nice Collection

Shayari Sms
www.esmsfun.com

 

Post a Comment

<< Home