Veer Zara
Main Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Din, Mahiney, Saalon Ko Zat Main Badalte Dekhta Hoon
Is Mitti Se Mere Baboji K Khaito Ki Khusbu Ati Hai
Yeh Dhoop Mere Mathay Ki Thandi Chhaa Yaad DilaTi Hai
Yeh Baarish Mere Saavan Ki Jholoon K Sang Laati Hai
Yeh Sardi Mere Lodi Ki Dil Ki Aag Sulagti Jaati Hai
Woh Kehtay Hain Yeh Tera Des Nahi
Phir Kyo Mere Des Jaisa Lagta Hai
Woh Kehta Hai Mai Us Jaisa Nahi
Phir Kyo Mujh Jaisa Woh Lagta Hai
Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Sapno Ke Gaaon Se Utri Ek Nanni Pari Ko Dekhta Hoon
Kehti Hai Khud Ko Saamiya Aur Mujhko ~Navi~ Bulaati Hai
Hai Bilkul Begani Par Apno Si Woh Lagti Hai
Uski Sachi Baaton Se Phir Jeenay Ko Mann Karta Hai
Uski Kasmo Waadon Se Kuch Karne Ka Mann Karta Hai
Woh Kehtay Hain Ke Woh Koi Nahi Hai
Phir Kyo Woh Mere Liye Dunaya Se Larti Hai
Woh Kehtey Hain Main Us Jaisa Nahi
Par Kyo Mujh Jaisa Woh Lagta Hai
Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Apne Gaoon K Rangon Main Lipti Ek Nayi Zaara Ko Dekhta Hoon
Mere Khwabon Ko Poora Karti Khud K Khwaab Bhool Chuki Hai Woh
Mere Logon Ki Saiwa Karte karte Apne Logo Ko Chor Chuki Hai Woh
Uska Daaman Ab Khushiyon Se Bharne Ko Dil Karta Hai
Uske Liye Ek Aur Zindagi Jeenay Ko Jee Karta Hai
Woh Kehtay Hain Mera Des Uska Nahi
Phir Kyo Mere Ghar Woh Rehti Hai
Woh Kehtay Hain Main Us Jaisa Nahi
Phir Kyo Mujh Jaisi Woh Lagti Hai
Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Parody for S/w engineers:
Main ID number 786 cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon
apni hi tarah khaali baithe ek colleague ko dekhta hoon
kabhi mail karta
kabhi coffee peeta
kabhi IM pe baat karta
khidki se ladkiyan dekhta rehta
woh kehte hain woh PL hai
woh kehte hain woh senior hai
fir kyon mere jaisa lagta hai
kyon din bhar Fw: padhta hai
Main ID number 786 cubicle ki dewaron ke us paar dekhta hoon
cabin me baithe apne PM ko dekhta hoon
kabhi phone pe
kabhi con-call pe
gussa utarta jaane kis pe
who kehte hain project aane wala hai
training complete karo , kaam aane wala hai
fir kyon mujhe yeh jhootha sa lagta hai
fir kyon yeh sapna sa lagta hai
Main ID number 786 cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon
Doosri companiyon ko join kar chuke purane doston ko dekhta hoon
woh kehte hain bond ka kya hai, chale jao
woh kehte hain kahin aur kismat aazmao
fir kyon bond todne se dil darta hai
abhi ek saal aur intezaar
karne ko jee karta hai
Main ID number 786 cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon
4 Comments:
This comment has been removed by a blog administrator.
This website has much and more Awesome poetry plz visit
http://www.LatestShortUrduPoetry.blogspot.com
Check for Sad Shayari In Hindi Shayari For Friendship. Enjoy a huge amount of Shayari collection..
very nice post on shayari .
Post a Comment
<< Home