Friday, December 10, 2004

gum-e-zindagi

ZINDAGI KI RAAHON MEIN AISE MOD BHI AATE HAIN
SAAWAN KE SAATH-SAATH YEHAN PATJAD BHI AATE HAIN
AASUWON KE SAAGAR MEIN MOTI BHI MILTHE HAIN
JO UNHE DOOND LETE HAIN, WAHI ZINDAGI JEE LETE HAIN!

GUM KE BAAZAR MEIN DHONDNE NIKLE KHUSHIYO KI DUNKAN
MAGAR JAB KHUSHIYA MILI
TO LAGA GUM MEIN JEENA THA AASAN - [Sujata Jayawant]


Got a lot to add to this series...

WOH KEHTE HAIN HUME AADAT HAI MUSKURANE KI....
PAR WOH KYA JANE KI YEH BHI EK ADA HAI GHUM BHULANE KI !
[par aaj kal kuch alag hi mausam hain yahan]

Jazbaaton ka samandar roke nahi rukta....
Sambhalne se dil hamara bhi nahi samhbalta.
Ati nahi hume shayari... magar eye Ghalib,
jazbaaton peh zor kisi ka nahi chalta
kabhi kisi ko muquamal jahan nahi milta.....
kahin zameenn to kahin aasamaan nahi milta

jisse bhi dekhiye woh apne aap mein gumm hai
zubaan milli hai magar hum-zubaan nahi milta
bhuja sakka hai bala kaun waqt ke sholey
yeh aisi aag hai jismein duan nahi milta

tere jahaan mein aisa nahi ki pyaar na ho ....
jahan umeed ho iski wahan nahi milta...

0 Comments:

Post a Comment

<< Home