Wednesday, November 24, 2004

Aab control nahi hota...

Bojh woh sar se gira hai ke uthaye na bane
Kaam woh aan para hai ke banaaye na bane

Is nazaakat ka bura ho woh bhale hain to kya
Haath aawen to unhen haath lagaaye na bane !!
- [Ghalib]

waqt mile to baat karna... kahin hame yeh kehna na pade
itni mahnat karke hum aate hai milne unse
woh hai ki kehte hai unse aate na bane.

kahin aaisa na hoon ki
baat ban jaaye kuchh aise ki banaaye na bane

dosti karo to dhoka mat dena,
yu aasuon ka tohfa mat dena,
arre aise galtiyon ko kabhi maaf kar dena,
warna hame hi bhola dena,
dil se roye koi zindagi bhar,
aisa kisi ko mauka mat dena.

Tu kal chala jayega to main kya karunga,
tu yaad bahut ayega to main kya karunga...

When you leave tommorrow, then what will I do,
when I miss you, then what will I do... [from the movie NAAM]


Sham ki tanhai mein kho na jaana,
kisi ki masti mein doob na janaa,
milengi zarur manzilein tumhe,
unhe pakar hum jaise doston ko bhool na jana.

Ik guzarish hai bas itna kijiye
Kabhi fursat ho to aayaa kijiye
Ham bhi dekhen apni nazron ka ma-all
Ho sake to hamse parda kijiye

Log iska na galat matlab lein'
Ajnabiyat se na dekha kijiye

Khudko apni aankho se dekha to hai
Ab meri aankho se dekha kijiye

0 Comments:

Post a Comment

<< Home