Sunday, October 10, 2004

Nostalgia (ADs on TV)

I will interrupt the lack of activity here... but I am a little busy to think or read new shayaris these days... Hope you can understand

Rukavat Ke Liye Khed Hai...

Sabhi bacchon apne dant dikhao...
arre Raju tumhare daat to motiyo jaise chamak rahe he
Kyon na ho masterji…
…mein dabur ka lal dunt manjan jo istimal karta hoo..
daato ki kare hifajat... moti sa chamkaye
dabur lal dunt manjan se... mukhada khil khil jaye


Jindagi jineke liye..sari duniya mere liye
Saasoon mein zinda dil tazagi,
har pal hain mere liye.. (Close Up/ pepsodent)

(Since bandar chap kala dant manjan and Daatuun are not tooth pastes, I use Khol-gate or sometimes peep-so-dent (Dhishum-Dhishum).)

: Jab main chhota bachcha tha ..
: Badi shararat karta tha ...
: Meri chori Pakdi jati .
: Jab bhi roshani karta Bajaj.
:
: rang hari jawani thi
: ek raja aur ek rani thi
: raja rani pakde jaate
: jab bhi roshni karta bajaj
:
: ab main bilkul buddha hoon
: goli khakar jeeta hoon
: lekin aaj bhi ghar ke andar
: roshani deta bajaj

- Buland bharat ki buland tasveer… Hamara bajaj

vicco turmeric nahi cosmetic...
keel muhasaon ko jad se mitaye;
haldi aur chandan ke gun is me samaye...
thwacha ki raksha kare antiseptic cream
Or was it:
vicco turmeric ayurvedic cream;
twacha ki raksha kare antispetic cream;
roop ko sanware nikhare har pal;
haldi aur chandan ka anokha sangam;
vicco turmeric ayurvedic cream

vicco turmeric nahi cosmetic
vicco turmeric ayurvedic cream

-Khusbhudar Antiseptic cream Borolin...

- Shaadi Aur Tumse..Kabhi Nahin
*Puts Pan Pasand in her mouth*,
Shaadi… Aur Tumse…, Kabhi Nahin


How about some of the detergents that almost (brain)washed us into their efficacy?

"uski saree meri saree se safed kyon?" Surf
"baar, baar, lagaataar; jheel ki surakksha" Jheel

: Wasing powder nirma, washing powder nirma
: doodh si safai nirma se aye
: rageen kapde bhi khil khil jayen
: sabki pasand nirma...

and there were others for Rin, Hippolin and countless others


Jo Ok sabun she nahayee kamal sa khil jaye...
[But the fun was this guy is supposedly applyiing soap around his tummy area and looks down and says: Sachmuch kaafi bada hi - OK Saabun ;-)]

-Lifebuoy Yeh Jahan Tandroosti Hai Vahan


bharat dabholkar is god! the amul ads were alsway too good..
remember that cartoon advertisment..
utterly butterly delicious... aammmuuul :D
"for someone you love"


jo biwi se kare pyar, woh prestige se kaise kare inkaar...
with ravi baswani as the troubled husband.:)

Bhai ek PSPO do na...
Ye PSPO kya hai bhaisaab?
Oye..tu PSPO nahi jaanta?
PSPO nahi janta?
Ye PSPO nahi janta..
Ye PSPO nahi janta.......
Main to majak kar raha tha..


sard dard...haan..naak bhi band..haan bhai haan..to sardi ki goli kyun le rahe ho..ye lo naya Vicks action 500..sar dard aur sardi dono ke liye sahi dawa !

Oye Oye, Oye oye...
Khujhli karene waale B-tex lagaale;
B-tex lagake tu apni,
Daad khaaj khujli mitaade...
Oye oye...


ooh aah ouch - iodex (This was a code among our friends w.r.t good looking gals :-D)

zandu balm zandu balm peda hari baam; sardi sar dard pedha ko pal mein dur kare

- Yeh Bechhara Kaam Ke BhoJ Ke Mara, Inhein ChaHiye Hamdard Ka Shinkara

thodi thodi bhari thodi thodi halki;
apnayein khushi her pal ki;
Cadburys Perks kabhi bhi kahin bhi

Another Cadburys ad in which the guy hits a six and this girl comes dancing ekdum khullam khulla on the pitch and the dance is really peculiar (that was jara hatke... )
Tagline: kuch baat hai hum sabhi mein.....


: arre beta tum yahan kar rahe ho..chalo ghar chalo (The kiddo is waiting at railway station)
: Kiddo: Sab mujhe gussa karte hi… Main ghar chodke jaa raha hu
: Are mummy ne to jalebi banayi hai
: Kiddo: Jaleeebbbiii...Jana to hai par... kabhi aur (Dhara Ghee)

-I am a Complan boy…, I am a complan girl

Doodh Doodh ...
:doodh doodh hai wonderful doodh
:pi sakte hain roz glassfull doodh doodh
:doodh doodh - wonderful doodh!!
:
:Doodh hai wonderful in every season
:Piyo doodh for Healthy reason
:Garmi mein dalo dudh mein Ice
:doodh ban gaya very nice
:
:charo aur mach gaya shor
:Give me MORE Give me MORE
:gimme gimme gimme MORE
:
:Piyo doodh subah aur sham
:-------------------
:rahoge tum fit and fine
:jiyoge past Ninty-Nine

ISSUED IN PUBLIC INTEREST

1 Comments:

At 3:26 PM, Blogger C'est Moi said...

How can u forget
Rahuuulll... Maine kaha tha na ... Paaniii Chalaaaa Jaaayegaaaaaaa!!!

 

Post a Comment

<< Home